Rog Aise Bhi Gham e Yar Se Lag Jaty Hain - Ahmad Faraz Poetry Ghazal

Ahmad Faraz Ghazal Rog aise bhi gham e yar se lag jaty hain,, Dar se uthty hain to deewar se lag jaty. Ahmad Faraz Poetry is famous among those who love to read romantic, love, and sad poetry shayari and ghazals. Ahmad Faraz Sad Love Poetry allows the reader to express their feelings with anyone u love by sending these poetry of Ahamd Faraz.

Ahmad faraz sad poetry
Ahmad Faraz


Here you can read the best and famous poetry of Ahamd Faraz. These all poetry collections of wasi shah is taken from his famous urdu poetry books. U can just copy these text copy and share to anyone on their social medias. 


Rog Aise Bhi Gham e Yar Se Lag Jaty Hain - Ahmad Faraz Poetry Ghazal


Ahmad faraz rog aise bhi gham e yar se lag jaty hain
Ahmad Faraz Ghazal


روگ ایسے بھی غمِ یار سےلگ جاتے ہیں
در سے اُٹھتے ہیں تو دیوار سے لگ جاتے ہیں

Rog aise Bhe gham e yaar se lag jaty hain
Dar Se uthty hain to deewar se lag jaty hain

عشق آغاز میں ہلکی سی خلش رکھتا ہے
بعد میں سینکڑوں آزار سے لگ جاتے ہیں

Ishq Aghaaz me halki si khalish rakhta hai
Baad me sainkron azaar se lag jaty hain 

پہلے پہل حوس ایک ادھ دکاں کھولتی ہے
پھر تو بازار کے بازار سے لگ جاتے ہیں

Pehle pephal hawas aik adh dukan kholti hai
Phir to bazaar ke bazaar se lag jaty hain

بےبسی بھی کبھی قُربت کا سبب بنتی ہے
رو نہ پائیں تو گلے یار سے لگ جاتے ہیں

Baibasi bhi kabhi kurbat ka sabab banti hai
Ro na payen to galy yaar se lag jaty hain

کترنیں غم کی جو گلیوں میں اُڑی پھرتی ہیں
گھر میں لے آؤ تو آنبار سے لگ جاتے ہیں

Katrnayn Gham ki jo galiyon me uri phirti hain
Ghar me lay ao to anbaar se lag jaty hain

داغ دامن کے ہوں، دل کے ہوں کہ چہرے کے "فراز"
کچھ نشان عُمر کی رفتار سے لگ جاتے ہیں 

Daagh daman ke Hon, dil ke Hon ke chery ke "faraz"
Kuch nishaan umar ki raftaar se lag jaty hain


Ahmad Faraz
    احمد فراز 



♥More Poetry Of Ahmad Faraz♥






Post a Comment

0 Comments